ReePrime
Poetry By Dilawar Abbas

Hosted by Dailymotion. For legal issues report at the Copyright Center, report us on DMC, or use the Instant Removal tool.

Poetry By Dilawar Abbas

P
Pak Videos

52 Views • Nov 06, 2015

Description

Ye dil he jaanta hay dil ko Maara kesay jaata hay,
Shab-e-furqat ka her lamha guzara kesay jaata hay

Ye samjho sheir ka mafhoom kya peghaam deta hay,
Ye mat poocho qalam pay khoon waara kesay jaata hay

Adab ki Mehfilon mein bey-adab logon ka naam aksar,
Pukara kesay jaana tha,pukara kesay jaata hay

Kisi Muflis kay bach-chay say kabhi ye pooch kar dekho,
Khilonon ki Duka'n per dil ko maara kesay jaata hay

Yahi afsos hay k aaj tak Insa'n nahi samjha,
Parinday jantay hain Ghar sanwara kesay jaata hay

Dilawar logon ki baaton pay Apnay kaan mat dharna,
Faqat ye dekhna inko sudhara kesay jaata hay