imnt alive - bachpan ki masti

Hosted by Dailymotion. For legal issues report at the Copyright Center, report us on DMC, or use the Instant Removal tool.

imnt alive - bachpan ki masti

P
PoemHunter.com

126 Views • Nov 08, 2014

Description

hum badhe ho rahe hain
bachpan ki masti ko kho rahe hain

vo chulbuli baatien
vo sharati raatein
vo ladhna jhaghana
phir ruthna manana

hum badhe ho rahe hain
bachpan ki masti ko kho rahe hain


vo subah school jana
jane se pehle rona
vo homework na karna
phir bahane bnana

hum badhe ho rahe hain
bachpan ki masti ko kho rahe hain


vo khelne jana
phir kaphde gandhe kar aana
vo jidd karna k gubaara chahie
phir usse phoodh dena

vo gummi ke lie jana
phir cheezi khana

hum badhe ho rahe hain
bachpan ki masti ko kho rahe hain


vo muma ki maar
vo papa ka pyar

2 min mein ruth jana
phir kisi ko na bulana
aur phir bin baat maan jana

hum badhe ho rahe hain
bachpan ki masti ko kho rahe hain

imnt alive

http://www.poemhunter.com/poem/bachpan-ki-masti/